jo puchha mujhse daur-e-charKH ne kya tu musalman hai
jo puchha mujhse daur-e-charKH ne kya tu musalman hai
Akbar Allahabadi
MORE BYAkbar Allahabadi
jo pūchhā mujh se daur-e-charḳh ne kyā tū musalmāñ hai
maiñ ghabrāyā ki is daryāft meñ kyā ramz pinhāñ hai
karūñ iqrār to shāyad ye be-mehrī kare mujh se
agar inkār kartā huuñ to ḳhauf-e-qahr-e-yazdāñ hai
bil-āḳhir kah diyā maiñ ne ki go muslim to hai banda
va-lekin maulvī hargiz nahīñ hai ḳhānsāmāñ hai
jo puchha mujh se daur-e-charKH ne kya tu musalman hai
main ghabraya ki is daryaft mein kya ramz pinhan hai
karun iqrar to shayad ye be-mehri kare mujh se
agar inkar karta hun to KHauf-e-qahr-e-yazdan hai
bil-aKHir kah diya main ne ki go muslim to hai banda
wa-lekin maulwi hargiz nahin hai KHansaman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.