bas ki faalumma-yurid hai aaj
Interesting Fact
1857
bas ki fa.ālummā-yurīd hai aaj
har silah shor englistāñ kā
ghar se bāzār meñ nikalte hue
zohra hotā hai aab insāñ kā
chauk jis ko kaheñ vo maqtal hai
ghar banā hai namūna zindāñ kā
shahr-e-dehlī kā zarra zarra ḳhaak
tishna-e-ḳhūñ hai har musalmāñ kā
koī vaañ se na aa sake yaañ tak
aadmī vaañ na jā sake yaañ kā
maiñ ne maanā ki mil ga.e phir kyā
vahī ronā tan o dil o jaañ kā
gaah jal kar kiyā kiye shikva
sozish-e-dāġh-hā-e-pinhāñ kā
gaah ro kar kahā kiye bāham
mājrā dīda-hā-e-giryāñ kā
is tarah ke visāl se yārab
kyā miTe dil se daaġh hijrāñ kā
bas ki faalumma-yurid hai aaj
har silah shor englistan ka
ghar se bazar mein nikalte hue
zohra hota hai aab insan ka
chauk jis ko kahen wo maqtal hai
ghar bana hai namuna zindan ka
shahr-e-dehli ka zarra zarra KHak
tishna-e-KHun hai har musalman ka
koi wan se na aa sake yan tak
aadmi wan na ja sake yan ka
main ne mana ki mil gae phir kya
wahi rona tan o dil o jaan ka
gah jal kar kiya kiye shikwa
sozish-e-dagh-ha-e-pinhan ka
gah ro kar kaha kiye baham
majra dida-ha-e-giryan ka
is tarah ke visal se yarab
kya miTe dil se dagh hijran ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.