Akhbaaron Ki Taraqqi-yaafta Shakl
Eik zamaane mein akhbaaron se sirf khabron ka kaam liya jaata tha. Ya phir log siyaasi rahnumaai ke liye unhein padhte the. Aaj to akhbaar zindagi ka odhna-bichhauna hain. Seth ismein mandiyon ke bhaav padhta hai. Bade miyaan zarurat-e-rishta ke ishtihaaraat mulaahiza karte hain aur aahein bharte hain. Azeez talib-e-ilm film ke safhaat par nazar tikaata hai ilm ki daulat-e-naayaab paata hai. Bibi is mein handiyaa bhunne ke nuskhe dhoondhti hai aur baaz logon ne to akhbaari nuskhe dekh-dekh kar matlab khol liye hain. Pichle dino aurton ke eik akhbaar mein eik bibi ne likh diya tha ki pressure cooker to mahnga hota hai use kharidne ki zarurat nahi. Ye kaam ba-khoobi daalda ke khaali dibbe se liya ja sakta hai. Kifaayat-shi'aar biwiyon ne ye nuskha aazmaya. Nateeja ye hua ki kaee zakhmi hui aur ek-aadh bibi to marte-marte bachi.

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.