seron mere badan se lahu han nikal gaya
seroñ mire badan se lahū haañ nikal gayā
sar kyā Dhañkā ki zor hī jiinā nikal gayā
hamdam balā se merī agar jaan par banī
armān tere dil kā to darbāñ nikal gayā
ghoḌe vilāyatī ne irāqī ke maarī laat
sach hai mirī zabān se ye haañ nikal gayā
be te kī maulvī kī fazīlat ke laag se
diq ho ke madrase se alif-ḳhāñ nikal gayā
juute se kuuḌā nek qadam se kareñge vo
apnā to paañv biich se guyyañ nikal gayā
kal kanpur naak karīmā kī kaaT ke
laḌkā baġhal meñ le ke gulistāñ nikal gayā
kauḌī na ḳharchī kahtī haiñ chakle kī kasbiyāñ
kyā muft 'jān' ghuur ke pariyāñ nikal gayā
seron mere badan se lahu han nikal gaya
sar kya Dhanka ki zor hi jina nikal gaya
hamdam bala se meri agar jaan par bani
arman tere dil ka to darban nikal gaya
ghoDe wilayati ne iraqi ke mari lat
sach hai meri zaban se ye han nikal gaya
be te ki maulwi ki fazilat ke lag se
diq ho ke madrase se alif-KHan nikal gaya
jute se kuDa nek qadam se karenge wo
apna to panw bich se guyyan nikal gaya
kal kanpur nak karima ki kaT ke
laDka baghal mein le ke gulistan nikal gaya
kauDi na KHarchi kahti hain chakle ki kasbiyan
kya muft 'jaan' ghur ke pariyan nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.