Tis peDu mein uThi uhi meri jaan gai
Tiis peḌū meñ uThī uuhī mirī jaan ga.ī
mat satā mujh ko do-gānā tire qurbān ga.ī
tujh se jab tak na milī thī mujhe kuchh dukh hī na thā
haath maltī huuñ burī baat ko kyuuñ maan ga.ī
juuñ juuñ pahuñchī hai chamak bandī kā dam ruktā hai
ab mirī jaan ga.ī jaan ye maiñ jaan ga.ī
maiñ tire paas do-gānā abhī aa.ī thī chalī
mere ghar meñ tū abas karne ko tūfān ga.ī
zahr lagtī hai mujhe ye tirī chitthal-bāzī
yaañ tire aane se baajī tujhe pahchān ga.ī
terī 'ragnīñ' se kahīñ aañkh laḌī sach kah de
kuchh to ghabrā.ī huī phirtī hai ausān ga.ī
Tis peDu mein uThi uhi meri jaan gai
mat sata mujh ko do-gana tere qurban gai
tujh se jab tak na mili thi mujhe kuchh dukh hi na tha
hath malti hun buri baat ko kyun man gai
jun jun pahunchi hai chamak bandi ka dam rukta hai
ab meri jaan gai jaan ye main jaan gai
main tere pas do-gana abhi aai thi chali
mere ghar mein tu abas karne ko tufan gai
zahr lagti hai mujhe ye teri chitthal-bazi
yan tere aane se baji tujhe pahchan gai
teri 'ragnin' se kahin aankh laDi sach kah de
kuchh to ghabrai hui phirti hai ausan gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.