ye mere yar ne kya mujhse bewafai ki
ye mere yaar ne kyā mujh se bevafā.ī kī
mile na phir kabhī jis din se āshnā.ī kī
ab us ke ishq ne kyā kam kiyā thā mujh se sulūk
satāyā tū ne ḳhudā hat tirī ḳhudā.ī kī
maiñ tere vaarī nasīhat na kar mujhe baajī
tujhe bhī yaad hai bakvās sab ḳhudā.ī kī
phañsā diyā mujhe 'rañgīñ' ke daam meñ nāhaq
kaTe ilāhī kare naak mere daa.ī kī
ye mere yar ne kya mujh se bewafai ki
mile na phir kabhi jis din se aashnai ki
ab us ke ishq ne kya kam kiya tha mujh se suluk
sataya tu ne KHuda hat teri KHudai ki
main tere wari nasihat na kar mujhe baji
tujhe bhi yaad hai bakwas sab KHudai ki
phansa diya mujhe 'rangin' ke dam mein nahaq
kaTe ilahi kare nak mere dai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.