abhi abhi mere pas aae the janab-e-husain
abhī abhī mire paas aa.e the janāb-e-husain
vahī ye muntazir āñkheñ vahī ye ḳhvāb-e-husain
hamārī ḳhaak se bū-e-bahisht aatī hai
ki is meñ ḳhuub milāyā gayā hai āb-e-husain
maiñ zaḳhm-ḳhurda-o-darmāñda ḳhāk-ālūda
paḌā huā huuñ ki vā ho rahā hai bāb-e-husain
bas ek zaḳhm ba-faiz-e-husain aayā hai
ki is sanad pe hī ho jā.ūñ bāzyāb-e-husain
ye ek lamha-e-hastī tamām hāsil-e-'umr
husain bahr-e-vajūd aur maiñ hubāb-e-husain
panāh-gāh hamārī husain kā saaya
hamārā matl.a-e-ummīd āftāb-e-husain
maiñ zer-e-dars huuñ maktab meñ karbalā vaale
so aaj tak bhī nahīñ fāriġh-e-nisāb-e-husain
hamārī ḳhaak meñ sargarm karbalā ke biij
ki jald aane ko hai fasl-e-inqalāb-e-husain
salām kahte raho tum yuuñ hī miyāñ 'ehsās'
ba'īd kyā ki kisī din mile javāb-e-husain
abhi abhi mere pas aae the janab-e-husain
wahi ye muntazir aankhen wahi ye KHwab-e-husain
hamari KHak se bu-e-bahisht aati hai
ki is mein KHub milaya gaya hai aab-e-husain
main zaKHm-KHurda-o-darmanda KHak-aluda
paDa hua hun ki wa ho raha hai bab-e-husain
bas ek zaKHm ba-faiz-e-husain aaya hai
ki is sanad pe hi ho jaun bazyab-e-husain
ye ek lamha-e-hasti tamam hasil-e-'umr
husain bahr-e-wajud aur main hubab-e-husain
panah-gah hamari husain ka saya
hamara matla-e-ummid aaftab-e-husain
main zer-e-dars hun maktab mein karbala wale
so aaj tak bhi nahin farigh-e-nisab-e-husain
hamari KHak mein sargarm karbala ke bij
ki jald aane ko hai fasl-e-inqalab-e-husain
salam kahte raho tum yun hi miyan 'ehsas'
ba'id kya ki kisi din mile jawab-e-husain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.