SEARCH RESULTS
Showing search results for ",CRy"
Sher MATCHES FOR ",cry"
Sher
abhii hai.n qurb ke kuchh aur marhale baaqii
ki tujh ko paa ke hame.n phir tirii tamannaa hai
Tabish Dehlvi
Sher
ajab nasha hai tire qurb me.n ki jii chaahe
ye zindagii tirii aaGosh me.n guzar jaa.e
Aitbar Sajid
Sher
Hari Chand Akhtar
Sher
ko.ii aasaan rifaaqat nahii.n likkhii mai.n ne
qurb ko jab bhii likhaa jazb-e-raqaabat likhkhaa
Azm Bahzad
Sher
ik pal kaa qurb ek baras kaa phir intizaar
aa.ii hai january to december chalaa gayaa
ruKHsaar Nazimabadi
Sher
na teraa qurb na baada hai kyaa kiyaa jaa.e
phir aaj dukh bhii ziyaada hai kyaa kiyaa jaa.e
Ahmad Faraz
Sher
na ho ki qurb hii phir marg-e-rabt ban jaa.e
vo ab mile to zaraa us se faasla rakhnaa
Iftikhar Naseem
Sher
pataa nahii.n ye tamannaa-e-qurb kab jaagii
mujhe to sirf use sochne kii aadat thii
Shariq Kaifi
Sher
ajnabii buud-o-baash ke qurb-o-javaar me.n milaa
bichh.Daa to vo mujhe kisii aur dayaar me.n milaa
Javed Shaheen
Sher
qurb hii kam hai na duurii hii ziyaada lekin
aaj vo rabt kaa ehsaas kahaa.n hai ki jo thaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
aap ke qurb se pahle mujhe ma.aluum na thaa
zindagii itnii dil-aavez bhii ho saktii hai
Shakeel Ahmad Ziya
Sher
chaa.nd kaa qurb lagaa kaisaa chalo puuchh aa.e.n
aasmaano.n ke safar se vo palaT aayaa hai
Javed Naseemi
Sher
qurb-e-badan se kam na hu.e dil ke faasle
ik umr kaT ga.ii kisii naa-aashnaa ke saath
Saleem Ahmed
Sher
lutf-o-sitam vafaa jafaa yaas-o-umiid qurb-o-bod
ishq kii umr kaT ga.ii chand tavahhumaat me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
is intihaa-e-qurb ne dhu.ndlaa diyaa tujhe
kuchh duur ho ki dekh sukuu.n teraa baa.nkpan