SEARCH RESULTS
Showing search results for ",N8H"
Sher MATCHES FOR ",n8H"
Sher
Nooh Narvi
Sher
ham intizaar kare.n ham ko itnii taab nahii.n
pilaa do tum hame.n paanii agar sharaab nahii.n
Nooh Narvi
Sher
sunte rahe hai.n aap ke ausaaf sab se ham
milne kaa aap se kabhii mauqa.a nahii.n milaa
Nooh Narvi
Sher
milnaa jo na ho tum ko to kah do na mile.nge
ye kyaa kabhii parso.n hai kabhii kal hai kabhii aaj
Nooh Narvi
Sher
vo KHudaa.ii kar rahe the jab KHudaa hone se qabl
to KHudaa jaane kare.nge kyaa KHudaa hone ke ba.ad
Nooh Narvi
Sher
kahii.n na un kii nazar se nazar kisii kii la.De
vo is lihaaz se aa.nkhe.n jhukaa.e baiThe hai.n
Nooh Narvi
Sher
dil ke do hisse jo kar Daale the husn-o-ishq ne
ek sahraa ban gayaa aur ek gulshan ho gayaa
Nooh Narvi
Sher
Nooh Narvi
Sher
ye alag baat ki mai.n nuuh nahii.n thaa lekin
mai.n ne kashtii ko Galat samt me.n bahne na diyaa
Azhar Inayati
Sher
barso.n rahe hai.n aap hamaarii nigaah me.n
ye kyaa kahaa ki ham tumhe.n pahchaante nahii.n
Nooh Narvi
Sher
mujh ko ye fikr ki dil muft gayaa haatho.n se
un ko ye naaz ki ham ne use chhiinaa kaisaa
Nooh Narvi
Sher
Nooh Narvi
Sher
mahfil me.n terii aa ke yuu.n be-aabruu hu.e
pahle the aap aap se tum tum se tuu hu.e
Nooh Narvi
Sher
aasaa.n nahii.n dariyaa-e-mohabbat se guzarnaa
yaa.n nuuh kii kashtii ko bhii tuufaan kaa Dar hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jab zikr kiyaa mai.n ne kabhii vasl kaa un se
vo kahne lage paak mohabbat hai ba.Dii chiiz