SEARCH RESULTS
Showing search results for ",NTc"
Sher MATCHES FOR ",nTc"
Sher
apne kisii amal pe nadaamat nahii.n mujhe
thaa nek-dil bahut jo gunahgaar mujh me.n thaa
Himayat Ali Shayar
Sher
Ahmad Shahryar
Sher
Ameer Minai
Sher
kin niindo.n ab tuu sotii hai ai chashm-e-girya-naak
mizhgaa.n to khol shahr ko sailaab le gayaa
Meer Taqi Meer
Sher
kis ko kahiye nek aur Thahraa.iye kis ko buraa
Gaur se dekhaa to sab apne hii bhaa.ii-band hai.n
Nazeer Akbarabadi
Sher
na nii.nd aa.nkho.n me.n baaqii na intizaar rahaa
ye haal thaa to ko.ii nek kaam kyaa karte
Rais Siddiqui
Sher
ik zindagii amal ke liye bhii nasiib ho
ye zindagii to nek iraado.n me.n kaT ga.ii
khaleel Qidwai
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
aadmii kyaa vo na samjhe jo suKHan kii qadr ko
nutq ne haivaa.n se musht-e-KHaak ko insaa.n kiyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
gulshan se ko.ii phuul mayassar na jab hu.aa
titlii ne raakhii baa.ndh dii kaa.nTe kii nok par
Lucky farooqi Hasrat
Sher
tum naak cha.Dhaate ho mirii baat pe ai shaiKH
khii.nchuu.ngii kisii roz mai.n ab kaan tumhaare
Akbar Allahabadi
Sher
bure bhale me.n farq hai ye jaante hai.n sab magar
hai kaun nek kaun bad nazar nazar kii baat hai
Akbar Hyderabadi
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
us ne hamaare zaKHm kaa kuchh yuu.n kiyaa ilaaj
marham bhii gar lagaayaa to kaa.nTo.n kii nok se
Iftikhar Sagar
Sher
hai merii aa.nkho.n me.n aks-e-navishta-e-diivaar
samajh sako to miraa nutq-e-be-e-zabaa.n le lo
Farhan Salim
Sher
zabaa.n pe baar-e-KHudaayaa ye kis kaa naam aayaa
ki mere nutq ne bose mirii zabaa.n ke liye