SEARCH RESULTS
Showing search results for ",Nzb"
Sher MATCHES FOR ",nzb"
Sher
zaahid sharaab-e-naab ho yaa baada-e-tuhuur
piine hii par jab aa.e haraam o halaal kyaa
Hafeez Jaunpuri
Sher
kyaa sharaab-e-naab ne pastii se paayaa hai uruuj
sar cha.Dhii hai halq se niiche utar jaane ke ba.ad
Riyaz Khairabadi
Sher
kyuu.n jaam-e-sharaab-e-naab maa.nguu.n
saaqii kii nazar me.n kyaa nahii.n hai
Seemab Akbarabadi
Sher
aap ho.n ham ho.n mai-e-naab ho tanhaa.ii ho
dil me.n rah rah ke ye armaan chale aate hai.n
Bekhud Dehlvi
Sher
zindagii naam isii mauj-e-mai-e-naab kaa hai
mai-kade se jo uThe daar-o-rasan tak pahu.nche
Kamal Ahmad Siddiqi
Sher
haal zaahid jo mai-e-naab kaa puuchhe to kahuu.n
hai ye vo chiiz jo kaafir ko musalmaan kare
Muztar Khairabadi
Sher
vo maah bhar ke jaam-e-mai-naab le gayaa
ik dam me.n aaftaab ko mahtaab le gayaa
Joshish Azimabadi
Sher
Qayem Chaandpuri
Sher
zikr-e-sharaab-e-naab pe vaa.iz ukha.D gayaa
bole the achchhii baat bhale aadmii se ham
Natiq Gulavthi
Sher
chashma-e-naab na ba.Dh kar junuu.n sailaab bane
bah na jaa.e ki ye miTTii kaa makaa.n hai ab ke
Razi Raziuddin
Sher
suraahii-e-mai-e-naab-o-safiina-haa-e-Gazal
ye harf-e-husn-e-muqaddar likhaa hai kis ke liye