SEARCH RESULTS
Showing search results for ",PqI"
Sher MATCHES FOR ",pqi"
Sher
ye jabr bhii dekhaa hai taariiKH kii nazro.n ne
lamho.n ne KHataa kii thii sadiyo.n ne sazaa paa.ii
Muzaffar Razmi
Sher
anjaam-e-vafaa ye hai jis ne bhii mohabbat kii
marne kii du.aa maa.ngii jiine kii sazaa paa.ii
Nushur Wahidi
Sher
ishq se tabii.at ne ziist kaa mazaa paayaa
dard kii davaa paa.ii dard-e-be-davaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
aa.e the ha.nste khelte mai-KHaane me.n 'firaaq'
jab pii chuke sharaab to sanjiida ho ga.e
Firaq Gorakhpuri
Sher
jaane vaale se mulaaqaat na hone paa.ii
dil kii dil me.n hii rahii baat na hone paa.ii
Shakeel Badayuni
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
itnii pii jaa.e ki miT jaa.e mai.n aur tuu kii tamiiz
yaanii ye hosh kii diivaar giraa dii jaa.e
Farhat Shahzad
Sher
baarish sharaab-e-arsh hai ye soch kar 'adam'
baarish ke sab huruuf ko ulTaa ke pii gayaa
Abdul Hamid Adam
Sher
shab ko mai KHuub sii pii sub.h ko tauba kar lii
ri.nd ke ri.nd rahe haath se jannat na ga.ii
Jalal Lakhnavi
Sher
na gul khile hai.n na un se mile na mai pii hai
ajiib rang me.n ab ke bahaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
jis tarah ha.ns rahaa huu.n mai.n pii pii ke garm ashk
yuu.n duusraa ha.nse to kaleja nikal pa.De
Kaifi Azmi
Sher
mai pii ke jo girtaa hai to lete hai.n use thaam
nazro.n se giraa jo use phir kis ne sambhaalaa