SEARCH RESULTS
Showing search results for ",Zbt"
Sher MATCHES FOR ",zbt"
Sher
na apne zabt ko rusvaa karo sataa ke mujhe
KHudaa ke vaaste dekho na muskuraa ke mujhe
Bismil Azimabadi
Sher
kamaal-e-zabt ko KHud bhii to aazmaa.uu.ngii
mai.n apne haath se us kii dulhan sajaa.uu.ngii
Parveen Shakir
Sher
Ahmad Kamal Parwazi
Sher
zabt kartaa huu.n to ghuTtaa hai qafas me.n miraa dam
aah kartaa huu.n to sayyaad KHafaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Sher
tamaam paikar-e-badsuurtii hai mard kii zaat
mujhe yaqii.n hai KHudaa mard ho nahii.n saktaa
Farhat Ehsas
Sher
kyuu.n khul ga.e logo.n pe mirii zaat ke asraar
ai kaash ki hotii mirii gahraa.ii zaraa aur
Aanis Moin
Sher
Sarvat Husain
Sher
mai.n aadmii huu.n ko.ii farishta nahii.n huzuur
mai.n aaj apnii zaat se ghabraa ke pii gayaa
Saghar Siddiqui
Sher
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'faraaz'
zaalim ab ke bhii na ro.egaa to mar jaa.egaa
Ahmad Faraz
Sher
mat puuchh ki ham zabt kii kis raah se guzre
ye dekh ki tujh par ko.ii ilzaam na aayaa
Mustafa Zaidi
Sher
ko.ii zamiin hai to ko.ii aasmaan hai
har shaKHs apnii zaat me.n ik daastaan hai
Karamat Ali Karamat
Sher
ufuq ke aaKHirii manzar me.n jagmagaa.uu.n mai.n
hisaar-e-zaat se nikluu.n to KHud ko paa.uu.n mai.n
Kabir Ajmal
Sher
Shahryar
Sher
is qadar KHaalii hu.aa baiThaa huu.n apnii zaat me.n
ko.ii jho.nkaa aa.egaa jaane kidhar le jaa.egaa