SEARCH RESULTS
Showing search results for ",evY"
Sher MATCHES FOR ",evy"
Sher
jo ko.ii aave hai nazdiik hii baiThe hai tire
ham kahaa.n tak tire pahluu se sarakte jaave.n
Meer Hasan
Sher
eid tuu aa ke mire jii ko jalaave afsos
jis ke aane kii KHushii ho vo na aave afsos
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Ameer Khusrau
Sher
de mujh ko shikaayat kii ijaazat ki sitamgar
kuchh tujh ko maza bhii mire aazaar me.n aave
Mirza Ghalib
Sher
abhii kahe.n to kisii ko na e'tibaar aave
ki ham ko raah me.n ik aashnaa ne luuT liyaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
saa.e kii tarah saath phire.n sarv o sanobar
tuu is qad-e-dilkash se jo gulzaar me.n aave
Mirza Ghalib
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
ganjiina-e-ma.anii kaa tilism us ko samajhiye
jo lafz ki 'Gaalib' mire ash.aar me.n aave
Mirza Ghalib
Sher
kaa.nTo.n kii zabaa.n suukh ga.ii pyaas se yaa rab
ik aabla-paa vaadi-e-pur-KHaar me.n aave
Mirza Ghalib
Sher
jaave bhii phir aave bhii ka.ii shakl se har baar
chakkar me.n kahaa.n, par ye mazaa taan me.n dekhaa
nayan sukh
Sher
is vaaste ki aav-bhagat mai-kade me.n ho
puuchhaa jo ghar kisii ne to ka.aba bataa diyaa
Riyaz Khairabadi
Sher
kii us ne garm siina-e-ahl-e-havas me.n jaa
aave na kyuu.n pasand ki ThanDaa makaan hai
Mirza Ghalib
Sher
bin dekhe us ke jaave ranj o azaab kyuu.n kar
vo KHvaab me.n to aave par aave KHvaab kyuu.n kar
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
kaho to kis tarah aave vahaa.n nii.nd
jahaa.n KHurshiid-ruu ho aa ke ham-KHvaab
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
jaise ki aaj vasl hu.aa kyaa na chaahiye
ik din bhii aave aisaa agar sau baras ke biich
Meer Hasan
Sher
jo jii me.n aave to Tuk jhaa.nk apne dil kii taraf
ki us taraf ko idhar se bhii raah nikle hai