SEARCH RESULTS
Showing search results for ",gTh"
Sher MATCHES FOR ",gTh"
Sher
dekhaa jo khaa ke tiir kamii.n-gaah kii taraf
apne hii dosto.n se mulaaqaat ho ga.ii
Hafeez Jalandhari
Sher
unhii.n ke faiz se baazaar-e-aql raushan hai
jo gaah gaah junuu.n iKHtiyaar karte rahe
Faiz Ahmad Faiz
Sher
sunte hai.n jo bahisht kii taariif sab durust
lekin KHudaa kare vo tiraa jalva-gaah ho
Mirza Ghalib
Sher
har kuucha sho.ala-zaar hai har shahr qatl-gaah
yak-jehtii-e-hayaat ke aadaab kyaa hu.e
Sahir Ludhianvi
Sher
dast-e-pur-KHuu.n ko kaf-e-dast-e-nigaaraa.n samjhe
qatl-gah thii jise ham mahfil-e-yaaraa.n samjhe
Majrooh Sultanpuri
Sher
Unknown
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Unknown
Sher
mai.n so rahaa thaa aur mirii KHvaab-gaah me.n
ik azhdahaa charaaG kii lau ko nigal gayaa
Sarvat Husain
Sher
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannaa mat puuchh
iid-e-nazzaara hai shamshiir kaa uryaa.n honaa
Mirza Ghalib
Sher
tamaasha-gaah-e-jahaa.n me.n majaal-e-diid kise
yahii bahut hai agar sarsarii guzar jaa.e.n
Ahmad Mushtaq
Sher
banaa hu.aa hai miraa shahr qatl-gaah ko.ii
palaT ke maa.o.n ke laKHt-e-jigar nahii.n aate
Sabir Zafar
Sher
kyaa KHuub tamaasha hai ye kaar-gah-e-hastii
har jism salaamat hai har zaat adhuurii hai
Ambareen Haseeb ambar
Sher
jalve kaa tere vo aalam hai ki gar kiije KHayaal
diida-e-dil ko ziyaarat-gaah-e-hairaanii kare
Mirza Ghalib
Sher
na kuchh sitam se tire aah aah kartaa huu.n
mai.n apne dil kii madad gaah gaah kartaa huu.n