SEARCH RESULTS
Showing search results for ",xbl"
Sher MATCHES FOR ",xbl"
Sher
vo KHudaa.ii kar rahe the jab KHudaa hone se qabl
to KHudaa jaane kare.nge kyaa KHudaa hone ke ba.ad
Nooh Narvi
Sher
ramazaa.n me.n tuu na jaa ruu-ba-ruu un ke 'maa.il'
qabl-e-iftaar badal jaa.egii niyyat terii
Ahmad Husain Mail
Sher
hamaare shahr kii rivaayato.n me.n ek ye bhii thaa
du.aa se qabl puuchhnaa asar me.n kitnii der hai
Ahmad Shahryar
Sher
ek tumhaarii yaad ne laakh diye jalaa.e hai.n
aamad-e-shab ke qabl bhii KHatm-e-sahar ke baad bhii
Ali Jawad Zaidi
Sher
qabl-e-aaGaaz hii anjaam kaa Dar hotaa hai
duur-andesh ba.Daa ta.ng-nazar hotaa hai