SEARCH RESULTS
Showing search results for "استعارے"
Sher MATCHES FOR "استعارے"
Sher
yuu.n chaar din kii bahaaro.n ke qarz utaare ga.e
tumhaare baa'd ke mausam faqat guzaare ga.e
Manoj Azhar
Sher
aasmaano.n se farishte jo utaare jaa.e.n
vo bhii is daur me.n sach bole.n to maare jaa.e.n
Ummeed Fazli
Sher
Bashir Badr
Sher
hai intihaa-e-yaas bhii ik ibtidaa-e-shauq
phir aa ga.e vahii.n pe chale the jahaa.n se ham
Hasrat Mohani
Sher
magar giraft me.n aataa nahii.n badan us kaa
KHayaal Dhuu.nDhtaa rahtaa hai isti.aara ko.ii
Irfan Siddiqi
Sher
ek musht-e-KHaak aur vo bhii havaa kii zad me.n hai
zindagii kii bebasii kaa isti.aara dekhnaa
Parveen Shakir
Sher
aadam se baaG-e-KHuld chhuTaa ham se kuu-e-yaar
vo ibtidaa-e-ra.nj hai ye intihaa-e-ra.nj
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
na us kaa ant hai ko.ii na isti.aara hai
ye daastaan hai hijr-o-visaal se baahar
Amjad Islam Amjad
Sher
ye intihaa-e-masarrat kaa shahr hai 'sarvat'
yahaa.n to har dar-o-diivaar ik samundar hai
Sarvat Husain
Sher
is intihaa-e-qurb ne dhu.ndlaa diyaa tujhe
kuchh duur ho ki dekh sukuu.n teraa baa.nkpan
Ahmad Faraz
Sher
shikast-e-ahd-e-sitam par yaqiin rakhte hai.n
ham intihaa-e-sitam kaa gilaa nahii.n karte
Ahmad Riyaz
Sher
ko.ii to dosh se baar-e-safar utaaregaa
hazaaro.n raahzan ummiid-vaar raah me.n hai
Haidar Ali Aatish
Sher
ye rivaayat hai kitaabo.n me.n utaare jaa.e.n
vo jo KHushbuu ke safar me.n kahii.n maare jaa.e.n
Haris Bilal
Sher
KHudaa kare ki khule ek din zamaane par
mirii kahaanii me.n jo isti.aara KHvaab kaa hai