SEARCH RESULTS
Showing search results for "ترابی"
Sher MATCHES FOR "ترابی"
Sher
milne kii tarah mujh se vo pal bhar nahii.n miltaa
dil us se milaa jis se muqaddar nahii.n miltaa
Naseer Turabi
Sher
Naseer Turabi
Sher
Naseer Turabi
Sher
kuchh roz nasiir aa.o chalo ghar me.n rahaa jaa.e
logo.n ko ye shikva hai ki ghar par nahii.n miltaa
Naseer Turabi
Sher
vo ham-safar thaa magar us se ham-navaa.ii na thii
ki dhuup chhaa.nv kaa aalam rahaa judaa.ii na thii
Naseer Turabi
Sher
aaj kii raat ujaale mire ham-saaya hai.n
aaj kii raat jo so luu.n to nayaa ho jaa.uu.n
Naseer Turabi
Sher
ye raah-e-tamannaa hai yahaa.n dekh ke chalnaa
is raah me.n sar milte hai.n patthar nahii.n miltaa
Naseer Turabi
Sher
mai.n ik shajar kii tarah rah-guzar me.n Thahraa huu.n
thakan utaar ke tuu kis taraf ravaana hu.aa
Naseer Turabi
Sher
Naseer Turabi
Sher
ye havaa saare charaaGo.n ko u.Daa le jaa.egii
raat Dhalne tak yahaa.n sab kuchh dhu.aa.n ho jaa.egaa
Naseer Turabi
Sher
KHud apne hijr kii KHvaahish mujhe aziiz rahii
ye tere vasl kaa qissa to ik bahaana hu.aa
Naseer Turabi
Sher
Naseer Turabi
Sher
kahne ko Gam-e-hijr ba.Daa dushman-e-jaa.n hai
par dost bhii is dost se behtar nahii.n miltaa
Naseer Turabi
Sher
Naseer Turabi
Sher
muddato.n baa'd agar saamne aa.e ham tum
dhu.ndle dhu.ndle se mile.nge KHad-o-KHaal aise me.n
Naseer Turabi
Sher
shaayad ye intizaar kii lau faisla kare
mai.n apne saath huu.n ki dariicho.n ke saath huu.n
Naseer Turabi
Sher
qurbate.n ret kii diivaar hai.n gir saktii hai.n
mujh ko KHud apne hii saa.e me.n Thahar jaanaa thaa