SEARCH RESULTS
Showing search results for "تسبیح"
Sher MATCHES FOR "تسبیح"
Sher
Waliullah Muhib
Sher
mohtasib tasbiih ke daano.n pe ye gintaa rahaa
kin ne pii kin ne na pii kin kin ke aage jaam thaa
Saail Dehlvi
Sher
aa.nkho.n me.n nahii.n silsila-e-ashk shab-o-roz
tasbiih pa.Dhaa karte hai.n din raat tumhaarii
Muneer Shikohabadi
Sher
mai pii ke iid kiijiye guzraa mah-e-siyaam
tasbiih rakhiye saaGar-o-miinaa uThaa.iye
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
dekh kar haath me.n tasbiih gale me.n zunnaar
mujh se bezaar hu.e kaafir o dii.n-daar judaa
Maatam Fazl Mohammad
Sher
halkaa thaa nadaamat se sarmaaya ibaadat kaa
ik qatre me.n bah nikle tasbiih ke sau daane
Arzoo Lakhnavi
Sher
Unknown
Sher
tire hii naam kii simran hai mujh ko aur tasbiih
tuu hii hai vird har ik sub.h-o-shaam aashiq kaa
Shah Naseer
Sher
jii chaahtaa hai us but-e-kaafir ke ishq me.n
tasbiih to.D Daaliye zunnaar dekh kar
Aagha Akbarabadi
Sher
yaad karte hai.n tujhe dair-o-haram me.n shab-o-roz
ahl-e-tasbiih judaa saahib-e-zunnaar judaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
chhoTii hii umr me.n allaah vaziifa itnaa
abhii kyaa sin hai jo pa.Dhte ho balaa kii tasbiih
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ai shaiKH agar kufr se islaam judaa hai
pas chaahiye tasbiih me.n zunnaar na hotaa
Ashraf Ali Fughan
Sher
Quli Qutub Shah
Sher
istiKHaare ke liye baaG me.n ham rindo.n ne
baar-haa daana-e-a.nguur kii kii hai tasbiih
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Shah Naseer
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
chho.D kar tasbiih lii zunnaar us but ke liye
the to ahl-e-dii.n par is dil ne barahman kar diyaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
gale me.n apne pahnaa hai jo tuu ne ai but-e-kaafir
mirii tasbiih ko hai rashk zunnaar-e-barahman par