SEARCH RESULTS
Showing search results for "تل"
Sher MATCHES FOR "تل"
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ab mai.n samjhaa tire ruKHsaar pe til kaa matlab
daulat-e-husn pe darbaan biThaa rakkhaa hai
Unknown
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
Syed Zameer Jafri
Sher
Ahmad Faraz
Sher
surme kaa til banaa ke ruKH-e-laa-javaab me.n
nuqta ba.Dhaa rahe ho KHudaa kii kitaab me.n
Qamar Jalalvi
Sher
dekh chhoTo.n ko hai allaah ba.Daa.ii detaa
aasmaa.n aa.nkh ke til me.n hai dikhaa.ii detaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Unknown
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
nisbat phir us se kyaa mah-e-daaGii ko diijiye
saare badan me.n jis ke na ho ek til kahii.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
bosa-e-aariz mujhe dete hu.e Dartaa hai kyuu.n
luu.ngaa kyaa nok-e-zabaa.n se tere ruKH kaa til uThaa
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
ham to ik til pe hii bas KHud ko fanaa kar baiThe
aur kitne hai.n jamaalaat kahaa.n jaante hai.n
Aftab Shah
Sher
nahii.n til dharne kii jaagah jo ba-afzuunii-e-husn
dekhaa shab us ko to ik KHaal ba-ruKHsaar na thaa