SEARCH RESULTS
Showing search results for "تکرار"
Sher MATCHES FOR "تکرار"
Sher
bosa-e-ruKHsaar par takraar rahne diijiye
liijiye yaa diijiye inkaar rahne diijiye
Hafeez Jaunpuri
Sher
le lo bosa apnaa vaapas kis liye takraar kii
kyaa ko.ii jaagiir ham ne chhiin lii sarkaar kii
Akbar merthi
Sher
ab aa.o mil ke so rahe.n takraar ho chukii
aa.nkho.n me.n nii.nd bhii hai bahut raat kam bhii hai
Nizam Rampuri
Sher
bhuule se kahaa maan bhii lete hai.n kisii kaa
har baat me.n takraar kii aadat nahii.n achchhii
Bekhud Dehlvi
Sher
dono.n jahaan de ke vo samjhe ye KHush rahaa
yaa.n aa pa.Dii ye sharm ki takraar kyaa kare.n
Mirza Ghalib
Sher
jab mulaaqaat hu.ii tum se to takraar hu.ii
aise milne se to behtar hai judaa ho jaanaa
Ahsan Marahravi
Sher
sabr kii takraar thii josh o junuun-e-ishq se
zindagii bhar dil mujhe mai.n dil ko samjhaataa rahaa
Aazim Kohli
Sher
jo kuchh kaho qubuul hai takraar kyaa karuu.n
sharminda ab tumhe.n sar-e-baazaar kyaa karuu.n
Anwar Shuoor
Sher
mai.n barhaman o shaiKH kii takraar se samjhaa
paayaa nahii.n us yaar ko jhunjhlaa.e hu.e hai.n
Bahram ji
Sher
tuu jo muusaa ho to us kaa har taraf diidaar hai
sab ayaa.n hai kyaa tajallii ko yahaa.n takraar hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
sulh-e-kul me.n mirii guzre hai mohabbat ke biich
na to takraar hai kaafir se na dii.n-daar se bahs