SEARCH RESULTS
Showing search results for "جوجھ"
Sher MATCHES FOR "جوجھ"
Sher
saarii duniyaa tirii ho.nTo.n kii ha.nsii me.n gum hai
kaun dekhegaa mirii aa.nkh ke paanii kii taraf
Armaan Jodhpuri
Sher
pyaasii bahut thii.n hasrate.n lo aaj mar ga.ii.n
baarish kaa intizaar thaa vo bhii nahii.n rahaa
Armaan Jodhpuri
Sher
aa.nkho.n ne aa.nsu.o.n kaa tabarruk luTaa diyaa
dil ke mazaar par tirii yaado.n kaa ‘urs hai
Armaan Jodhpuri
Sher
mai.n ne dekhaa to nahii.n 'miir' kaa diivaan magar
jaantaa huu.n tirii aa.nkho.n kii tarah hotaa hai
Armaan Jodhpuri
Sher
kaam ho to kaam karnaa vaqt ho to shaa'irii
naukrii apnii jagah hai shaa'irii apnii jagah
Armaan Jodhpuri
Sher
aaKHir tire savaal kaa mai.n kyaa javaab duu.n
ai mere ham-KHayaal zaraa sochne to de
Armaan Jodhpuri
Sher
zindagii zulf nahii.n thii jo sa.nvaarii jaatii
zindagii aur ulajhtii ga.ii suljhaane me.n
Armaan Jodhpuri
Sher
vo jis se maut nikaalegii ek din aa kar
tumhe.n KHabar hai usii zindagii kii qaid me.n huu.n
Armaan Jodhpuri
Sher
mai.n ne ukhaa.D phe.nke hai.n baazuu se aise par
jo bojh the kabhii mirii uu.nchii u.Daan me.n
Armaan Jodhpuri
Sher
kyo.n zulm kartii hai duniyaa ham ishq vaalo.n par
ham ishq karte hai.n ko.ii KHataa nahii.n karte
Armaan Jodhpuri
Sher
aaKHirii nuqsaan thaa tuu zindagii kaa
mai.n ne tere baa'd kuchh khoyaa nahii.n hai