SEARCH RESULTS
Showing search results for "درپیش"
Sher MATCHES FOR "درپیش"
Sher
na.ii mushkil ko.ii darpesh har mushkil se aage hai
safar diivaangii kaa ishq kii manzil se aage hai
Khushbir Singh Shaad
Sher
baarish kii bahut tez havaa me.n kahii.n mujh ko
darpesh thaa ik marhala jalne kii tarah kaa
Zafar Iqbal
Sher
jise darpesh judaa.ii ho use kyaa ma.aluum
kaun sii baat ko kis tarah bayaa.n honaa hai
Aslam Ansari
Sher
saarii duniyaa ke masaa.il yuu.n mujhe darpesh hai.n
teraa Gam kaafii na ho jaise guzar-auqaat ko
Shahryar
Sher
alag alag sii hai samto.n kaa ab safar darpesh
tumhaaraa haath mire haath se judaa bhii nahii.n
Qamar Abbas Qamar
Sher
Aamil Darvesh
Sher
dil paa ke us kii zulf me.n aaraam rah gayaa
darvesh jis jagah ki hu.ii shaam rah gayaa
Qayem Chaandpuri
Sher
miltii nahii.n hai naav to darvesh kii tarah
KHud me.n utar ke paar utar jaanaa chaahiye
Abbas Tabish
Sher
darvesh nazar aataa thaa har haal me.n lekin
'saajid' ne libaas itnaa bhii saada nahii.n pahnaa
Iqbal Sajid
Sher
ulfat to dekhiye mirii diidaar ke sabab
darvesh ban ke yaar kii chaukhaT pe aa gayaa
Mahwar Sirsivi
Sher
mujh jaise darvesh tumhaarii duniyaa me.n
marne kii KHvaahish me.n zinda rahte hai.n
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
kisii darvesh ke hujre se abhii aayaa huu.n
so tire hukm kii taamiil nahii.n karnii mujhe
Ahmad Khayal
Sher
mard-e-darvesh huu.n takiya hai tavakkul meraa
KHarch har roz hai yaa.n aamad-e-baalaa.ii kaa