SEARCH RESULTS
Showing search results for "رفاقت"
Sher MATCHES FOR "رفاقت"
Sher
ek siitaa kii rifaaqat hai to sab kuchh paas hai
zindagii kahte hai.n jis ko raam kaa ban-baas hai
Hafeez Banarasi
Sher
ye intizaar nahii.n sham.a hai rifaaqat kii
is intizaar se tanhaa.ii KHuub-suurat hai
Arshad Abdul Hamid
Sher
rahtii hai saath saath ko.ii KHush-gavaar yaad
tujh se bichha.D ke terii rifaaqat ga.ii nahii.n
Khalid Iqbal Yasir
Sher
ba.ad marne ke bhii chho.Dii na rifaaqat merii
merii turbat se lagii baiThii hai hasrat merii
Ameer Minai
Sher
kise kahe.n ki rifaaqat kaa daaG hai dil par
bichha.Dne vaalaa to khul kar kabhii milaa hii na thaa
Aslam Ansari
Sher
ko.ii aasaan rifaaqat nahii.n likkhii mai.n ne
qurb ko jab bhii likhaa jazb-e-raqaabat likhkhaa
Azm Bahzad
Sher
ye chaar din kii rifaaqat bhii kam nahii.n ai dost
tamaam umr bhalaa kaun saath detaa hai
Ghulam Rabbani Taban
Sher
ek muddat kii rifaaqat kaa ho kuchh to in.aam
jaate jaate ko.ii ilzaam lagaate jaa.o
Mohsin Bhopali
Sher
tum samundar kii rifaaqat pe bharosa na karo
tishnagii lab pe sajaa.e hu.e mar jaa.oge
Kaif Azimabadi
Sher
Zubair Rizvi
Sher
vo ek pal kii rifaaqat bhii kyaa rifaaqat thii
jo de ga.ii hai mujhe umar bhar kii tanhaa.ii
Ejaz Rahmani
Sher
sabhii darvaaze khule hai.n mirii tanhaa.ii ke
saarii duniyaa ko mayassar hai rifaaqat merii
Anjum Saleemi
Sher
ik na ik roz rifaaqat me.n badal jaa.egii
dushmanii ko bhii saliiqe se nibhaate jaa.o
Sada Ambalvi
Sher
dil mubtalaa-e-hijr rifaaqat me.n rah gayaa
lagtaa hai ko.ii farq mohabbat me.n rah gayaa
Nadeem Bhabha
Sher
kyaa ta.ajjub hai jo yaaro.n ne rifaaqat chho.Dii
baiThtaa kaun hai girtii hu.ii diivaar ke paas
Ameer Raza Mazhari
Sher
ek dard-e-hastii ne umr bhar rifaaqat kii
varna saath detaa hai kaun aaKHirii dam tak
Azeem Murtaza
Sher
khoyaa Gam-e-rifaaqat dekho kamaal apnaa
bahkaa diyaa hai sab ko dikhlaa ke haal apnaa