SEARCH RESULTS
Showing search results for "شرف"
Sher MATCHES FOR "شرف"
Sher
is parde me.n ye husn kaa aalam hai ilaahii
be-parda vo ho jaa.e.n to kyaa jaaniye kyaa ho
Sharaf Mujaddidi
Sher
Agha Hajju Sharaf
Sher
ishq ho jaa.egaa merii daastaan-e-ishq se
raat bhar jaagaa karoge is kahaanii ke liye
Agha Hajju Sharaf
Sher
har ik makaan ko hai makii.n se sharaf 'asad'
majnuu.n jo mar gayaa hai to jangal udaas hai
Mirza Ghalib
Sher
likkhaa hai jo taqdiir me.n hogaa vahii ai dil
sharminda na karnaa mujhe tuu dast-e-du.aa kaa
Agha Hajju Sharaf
Sher
tere kirdaar ko itnaa to sharaf haasil hai
tuu nahii.n thaa to kahaanii me.n haqiiqat kam thii
Iqbal Ashhar
Sher
Agha Hajju Sharaf
Sher
kabhii jo yaar ko dekhaa to KHvaab me.n dekhaa
mirii muraad bhii aa.ii to musta.aar aa.ii
Agha Hajju Sharaf
Sher
uTho ye manzar-e-shab-taab dekhne ke liye
ki nii.nd shart nahii.n KHvaab dekhne ke liye
Irfan Siddiqi
Sher
hame.n hai shauq ki be-parda tum ko dekhe.nge
tumhe.n hai sharm to aa.nkho.n pe haath dhar lenaa
Dagh Dehlvi
Sher
terii aa.nkhe.n jise chaahe.n use apnaa kar le.n
kaash aisaa hii sikhaa de.n ko.ii afsuu.n mujh ko
Sharaf Mujaddidi
Sher
muujid jo nuur kaa hai vo meraa charaaG hai
parvaana huu.n mai.n anjuman-e-kaa.enaat kaa
Agha Hajju Sharaf
Sher
Agha Hajju Sharaf
Sher
duniyaa jo na mai.n chand nafas ke liye letaa
jannat kaa ilaaqa mirii jaagiir me.n aataa
Agha Hajju Sharaf
Sher
dekhne bhii jo vo jaate hai.n kisii ghaayal ko
ik namak-daa.n me.n namak piis ke bhar lete hai.n