SEARCH RESULTS
Showing search results for "طالب"
Sher MATCHES FOR "طالب"
Sher
yuu.n bhii tiraa ehsaan hai aane ke liye aa
ai dost kisii roz na jaane ke liye aa
Talib Baghpati
Sher
mai.n baaG me.n huu.n taalib-e-diidaar kisii kaa
gul par hai nazar dhyaan me.n ruKHsaar kisii kaa
Taashshuq Lakhnavi
Sher
ham taalib-e-shohrat hai.n hame.n na.ng se kyaa kaam
badnaam agar ho.nge to kyaa naam na hogaa
Shefta Mustafa Khan
Sher
Talib Baghpati
Sher
qurbate.n bhii duuriyo.n kaa ban ga.ii.n aksar sabab
is liye behtar hai un kii be-ruKHii baaqii rahe
Afroz Talib
Sher
ko.ii is fasl me.n diivaana hu.aa hai shaayad
ki havaa haath me.n zanjiir liye phirtii hai
Talib Ali Khaan Aishi
Sher
hai.n laazim-o-malzuum baham husn o mohabbat
ham hote na taalib jo vo matluub na hotaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
Altaf Hussain Hali
Sher
Talib Jaipuri
Sher
mai.n chaa.nd bhej rahaa huu.n ki tum ko dekh aa.e
tumhaare shahr me.n ab shaam ho ga.ii hogii
Talib Husain Talib
Sher
na aa.nkho.n me.n aa.nsuu na lab par tabassum
mohabbat me.n aise bhii lamhaat aa.e
Talib Jaipuri
Sher
gar hai duniyaa kii talab zaahid-e-makkaar se mil
dii.n hai matluub to is taalib-e-diidaar se mil
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
saath duniyaa kaa nahii.n taalib-e-duniyaa dete
apne kutto.n ko ye murdaar liye phirtii hai
Imdad Imam Asar
Sher
kisii kaa milnaa, bichha.Dnaa aur ek do baate.n
tamaam silsila zeb-e-qalam na kar paayaa
Talib Husain Talib
Sher
ishq hai daarushshifaa aur dard hai us kaa tabiib
jo nahii.n is marz kaa taalib sadaa ranjuur hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
maal-o-zar kii qadr kyaa? KHuun-e-jigar ke saamne
ahl-e-duniyaa hech hai.n ahl-e-hunar ke saamne