SEARCH RESULTS
Showing search results for "عاجز"
Sher MATCHES FOR "عاجز"
Sher
dard aisaa hai ki jii chaahe hai zinda rahiye
zindagii aisii ki mar jaane ko jii chaahe hai
Kaleem Aajiz
Sher
zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii
majbuur the ham us se mohabbat bhii bahut thii
Kaleem Aajiz
Sher
na jaane ruuTh ke baiThaa hai dil kaa chain kahaa.n
mile to us ko hamaaraa ko.ii salaam kahe
Kaleem Aajiz
Sher
daaman pe ko.ii chhii.nT na KHanjar pe ko.ii daaG
tum qatl karo ho ki karaamaat karo ho
Kaleem Aajiz
Sher
rakhnaa hai kahii.n paa.nv to rakkho ho kahii.n paa.nv
chalnaa zaraa aayaa hai to itraa.e chalo ho
Kaleem Aajiz
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
guzar jaa.e.nge jab din guzre aalam yaad aa.e.nge
hame.n tum yaad aa.oge tumhe.n ham yaad aa.e.nge
Kaleem Aajiz
Sher
Gam hai to ko.ii lutf nahii.n bistar-e-gul par
jii KHush hai to kaa.nTo.n pe bhii aaraam bahut hai
Kaleem Aajiz
Sher
kyaa sitam hai ki vo zaalim bhii hai mahbuub bhii hai
yaad karte na bane aur bhulaa.e na bane
Kaleem Aajiz
Sher
jis kii adaa adaa pe ho insaaniyat ko naaz
mil jaa.e kaash aisaa bashar Dhuu.nDte hai.n ham
Ajiz Matvi
Sher
sunegaa kaun merii chaak-daamaanii kaa afsaana
yahaa.n sab apne apne pairahan kii baat karte hai.n
Kaleem Aajiz
Sher
qalam uThaa.uu.n ki bachcho.n kii zindagii dekhuu.n
pa.Daa hu.aa hai doraahe pe ab hunar meraa
Laiq Aajiz
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
kisii kii zulf ke saude me.n raat kii hai basar
kisii ke ruKH ke tasavvur me.n din tamaam kiyaa