SEARCH RESULTS
Showing search results for "غلطی"
Sher MATCHES FOR "غلطی"
Sher
ham ko aksar ye KHayaal aataa hai us ko dekh kar
ye sitaara kaise Galatii se zamii.n par rah gayaa
imtiyaz Khan
Sher
Zia Zameer
Sher
mujh ko pahchaan tuu ai vaqt mai.n vo huu.n jo faqat
ek Galatii ke liye arsh-e-barii.n se niklaa
Azlan shah
Sher
Javed Akhtar
Sher
sirf ik qadam uThaa thaa Galat raah-e-shauq me.n
manzil tamaam umr mujhe Dhuu.nDhtii rahii
Abdul Hamid Adam
Sher
mujh ko ma.aluum hai mahbuub-parastii kaa azaab
der se chaa.nd nikalnaa bhii Galat lagtaa hai
Ahmad Kamal Parwazi
Sher
qariib aa.o to shaayad samajh me.n aa jaa.e
ki faasle to Galat-fahmiyaa.n ba.Dhaate hai.n
Muzaffar Razmi
Sher
jahaa.n ho pyaar Galat-fahmiyaa.n bhii hotii hai.n
so baat baat pe yuu.n dil buraa nahii.n karte
Amjad Islam Amjad
Sher
siirat na ho to aariz-o-ruKHsaar sab Galat
KHushbuu u.Dii to phuul faqat rang rah gayaa
Zaheer Kashmiri
Sher
ye sochnaa Galat hai ki tum par nazar nahii.n
masruuf ham bahut hai.n magar be-KHabar nahii.n
Aalok Shrivastav
Sher
ye alag baat ki mai.n nuuh nahii.n thaa lekin
mai.n ne kashtii ko Galat samt me.n bahne na diyaa
Azhar Inayati
Sher
KHud Galat hai jo kahe hotii hai taqdiir Galat
kahii.n qismat kii bhii ho saktii hai tahriir Galat