SEARCH RESULTS
Showing search results for "غول"
Sher MATCHES FOR "غول"
Sher
mai.n to Gazal sunaa ke akelaa kha.Daa rahaa
sab apne apne chaahne vaalo.n me.n kho ga.e
Krishn Bihari Noor
Sher
aap ne tasviir bhejii mai.n ne dekhii Gaur se
har adaa achchhii KHamoshii kii adaa achchhii nahii.n
Jaleel Manikpuri
Sher
mai.n ne maa.ngii thii ujaale kii faqat ek kiran
tum se ye kis ne kahaa aag lagaa dii jaa.e
Zakia Ghazal
Sher
ko.ii bhuulaa hu.aa chehra nazar aa.e shaayad
aa.iina Gaur se tuu ne kabhii dekhaa hii nahii.n
Shakeb Jalali
Sher
Ghaus Khah makhah Hyderabadi
Sher
ek muddat se KHayaalo.n me.n basaa hai jo shaKHs
Gaur karte hai.n to us kaa ko.ii chehra bhii nahii.n
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
roz patthar kii himaayat me.n Gazal likhte hai.n
roz shiisho.n se ko.ii kaam nikal pa.Dtaa hai
Rahat Indori
Sher
Munawwar Rana
Sher
mai.n ne to yuu.nhii raakh me.n pherii thii.n u.ngliyaa.n
dekhaa jo Gaur se tirii tasviir ban ga.ii
Saleem Betab
Sher
Gaur se dekhte rahne kii sazaa paa.ii hai
terii tasviir in aa.nkho.n me.n utar aa.ii hai
Abhinandan Pandey
Sher
Gazal kaa sher to hotaa hai bas kisii ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunaanaa pa.Dtaa hai