SEARCH RESULTS
Showing search results for "مسجد"
Sher MATCHES FOR "مسجد"
Sher
ghar se masjid hai bahut duur chalo yuu.n kar le.n
kisii rote hu.e bachche ko ha.nsaayaa jaa.e
Nida Fazli
Sher
zaahid sharaab piine de masjid me.n baiTh kar
yaa vo jagah bataa de jahaa.n par KHudaa na ho
Unknown
Sher
Allama Iqbal
Sher
but-KHaana to.D Daaliye masjid ko Dhaa.iye
dil ko na to.Diye ye KHudaa kaa maqaam hai
Haidar Ali Aatish
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
hairat hai tum ko dekh ke masjid me.n ai 'KHumaar'
kyaa baat ho ga.ii jo KHudaa yaad aa gayaa
Khumar Barabankavi
Sher
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
dil KHush hu.aa hai masjid-e-viiraa.n ko dekh kar
merii tarah KHudaa kaa bhii KHaana KHaraab hai
Abdul Hamid Adam
Sher
jab Gam hu.aa cha.Dhaa lii.n do botale.n ikaTThii
mullaa kii dau.D masjid 'akbar' kii dau.D bhaTTii
Akbar Allahabadi
Sher
TuuTe but masjid banii mismaar but-KHaana hu.aa
jab to ik suurat bhii thii ab saaf viiraana hu.aa
Rind Lakhnavi
Sher
mai.n to masjid se chalaa thaa kisii ka.aba kii taraf
dukh to ye hai ki ibaadat mirii bad-naam hu.ii
Ahmad Rahi
Sher
mai-KHaane me.n kyuu.n yaad-e-KHudaa hotii hai aksar
masjid me.n to zikr-e-mai-o-miinaa nahii.n hotaa
Riyaz Khairabadi
Sher
Ameer Minai
Sher
dair me.n ka.abe me.n maiKHaane me.n aur masjid me.n
jalva-gar sab me.n miraa yaar hai allaah allaah