SEARCH RESULTS
Showing search results for "مظہر"
Sher MATCHES FOR "مظہر"
Sher
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
aap ko mere ta.aaruf kii zaruurat kyaa hai
mai.n vahii huu.n ki jise aap ne chaahaa thaa kabhii
Mazhar Imam
Sher
rusvaa agar na karnaa thaa aalam me.n yuu.n mujhe
aisii nigaah-e-naaz se dekhaa thaa kyuu.n mujhe
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
asr-e-nau mujh ko nigaaho.n mai.n chhupaa kar rakh le
ek miTtii hu.ii tahziib kaa sarmaaya huu.n
Mazhar Imam
Sher
Mazhar Imam
Sher
us ghar kii badaulat mire shero.n ko hai shohrat
vo ghar ki jo is shahr me.n badnaam bahut hai
Mazhar Imam
Sher
ye dil kab ishq ke qaabil rahaa hai
kahaa.n is ko dimaaG o dil rahaa hai
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
aksar aisaa bhii mohabbat me.n hu.aa kartaa hai
ki samajh-buujh ke khaa jaataa hai dhokaa ko.ii
Mazhar Imam
Sher
hai.n chanaaro.n ke chehre bhii jhulse hu.e
zaKHm sab kaa haraa hai tire shahar me.n
Mazhar Imam
Sher
ab kisii raah pe jalte nahii.n chaahat ke charaag
tuu mirii aaKHirii manzil hai miraa saath na chho.D
Mazhar Imam
Sher
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
itnii fursat de ki ruKHsat ho le.n ai sayyaad ham
muddato.n is baaG ke saaye me.n the aazaad ham