SEARCH RESULTS
Showing search results for "مکانی"
Sher MATCHES FOR "مکانی"
Sher
maut bar-haq hai to phir maut se Darnaa kaisaa
ek hijrat hii to hai naql-e-makaanii hii to hai
Tariq Matin
Sher
aa.nkho.n tak aa sakii na kabhii aa.nsu.o.n kii lahr
ye qaafila bhii naql-e-makaanii me.n kho gayaa
Abbas Tabish
Sher
Muneer Niyazi
Sher
jism thaktaa nahii.n chalne se ki vahshat kaa safar
KHvaab me.n naql-e-makaanii kii tarah hotaa hai
Faisal Ajmi
Sher
purkho.n se chalii aatii hai ye naql-e-makaanii
ab mujh se bhii KHaalii miraa ghar hone lagaa hai
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
ai shahr-e-sitam-zaad tirii umr ba.Dii ho
kuchh aur bataa naql-e-makaanii ke alaava
Khursheed Akbar
Sher
Abdul Mannan Samadi
Sher
sukuu.n kahii.n bhii nahii.n bazm-e-kaamraanii me.n
masaafate.n nahii.n tai hotii.n laa-makaanii me.n
Akhlaq Ahmad Ahan
Sher
mire KHudaa mujhe itnaa to mo'tabar kar de
mai.n jis makaan me.n rahtaa huu.n us ko ghar kar de
Iftikhar Arif
Sher
kachche makaan jitne the baarish me.n bah ga.e
varna jo meraa dukh thaa vo dukh umr bhar kaa thaa
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
tujh se kis tarah mai.n iz.haar-e-tamannaa kartaa
lafz suujhaa to ma.aanii ne baGaavat kar dii
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
lafz o manzar me.n ma.aanii ko TaTolaa na karo
hosh vaale ho to har baat ko samjhaa na karo