SEARCH RESULTS
Showing search results for "نامی"
Sher MATCHES FOR "نامی"
Sher
is shahr ko raas aa.ii ham jaiso.n kii gum-naamii
ham naam bataate to ye shahr bhii jal jaataa
Zehra Nigaah
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
log kahte hai.n ki bad-naamii se bachnaa chaahiye
kah do be is ke javaanii kaa mazaa miltaa nahii.n
Akbar Allahabadi
Sher
apnii parvaaz ko mai.n samt bhii KHud hii duu.ngaa
tuu mujhe apnii rivaayaat kaa paaband na kar
Nami Ansari
Sher
jo harf-e-haq kii himaayat me.n ho vo gum-naamii
hazaar vaz.a ke naam-o-nishaa.n se achchhii hai
Iftikhar Arif
Sher
uruuj par hai aziizo fasaad kaa suuraj
jabhii to suukhtii jaatii hai.n pyaar kii jhiile.n
Nami Nadri
Sher
ye aaj kaun sii taqsiir ho ga.ii 'naamii'
ki dost bhii to milaate nahii.n nazar ham se
Abid Nami
Sher
Abid Nami
Sher
ishq rusvaa-kun-e-aalam vo hai 'ahsan' jis se
nek-naamo.n kii bhii bad-naamii o rusvaa.ii hai
Ahsan Marahravi
Sher
Ahmad Faraz
Sher
jab bhii aataa hai miraa naam tire naam ke saath
jaane kyuu.n log mire naam se jal jaate hai.n
Qateel Shifai
Sher
vo zahr detaa to sab kii nigah me.n aa jaataa
so ye kiyaa ki mujhe vaqt pe davaa.e.n na dii.n
Akhtar Nazmi
Sher
tire va.ado.n pe kahaa.n tak miraa dil fareb khaa.e
ko.ii aisaa kar bahaana mirii aas TuuT jaa.e