SEARCH RESULTS
Showing search results for "وحشت"
Sher MATCHES FOR "وحشت"
Sher
zikr-e-shab-e-firaaq se vahshat use bhii thii
merii tarah kisii se mohabbat use bhii thii
Mohsin Naqvi
Sher
maut se kyuu.n itnii vahshat jaan kyuu.n itnii aziiz
maut aane ke liye hai jaan jaane ke liye
Unknown
Sher
Iftikhar Arif
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
log kahte hai.n ki tum se hii mohabbat hai mujhe
tum jo kahte ho ki vahshat hai to vahshat hogii
Abdul Hamid Adam
Sher
bachpan me.n ham hii the yaa thaa aur ko.ii
vahshat sii hone lagtii hai yaado.n se
Abdul Ahad Saaz
Sher
jaagtaa huu.n mai.n ek akelaa duniyaa sotii hai
kitnii vahshat hijr kii lambii raat me.n hotii hai
Shahryar
Sher
Gam mujhe hasrat mujhe vahshat mujhe saudaa mujhe
ek dil de kar KHudaa ne de diyaa kyaa kyaa mujhe
Seemab Akbarabadi
Sher
kabhii kabhii to ye vahshat bhii ham pe guzrii hai
ki dil ke saath hii dekhaa hai Duubnaa shab kaa
Abhishek Shukla
Sher
mere maathe pe ubhar aate the vahshat ke nuquush
merii miTTii kisii sahraa se uThaa.ii ga.ii thii
Qamar Abbas Qamar
Sher
apne vahshat-zada kamre kii ik almaarii me.n
terii tasviir aqiidat se sajaa rakkhii hai
Kausar Niyazi
Sher
Aitbar Sajid
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
saudaa-e-ishq aur hai vahshat kuchh aur shai
majnuu.n kaa ko.ii dost fasaana-nigaar thaa
Bekhud Dehlvi
Sher
ghar rahiye ki baahar hai ik raqs balaa.o.n kaa
is mausam-e-vahshat me.n naadaan nikalte hai.n
Farasat Rizwi
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n