SEARCH RESULTS
Showing search results for "کمل"
Sher MATCHES FOR "کمل"
Sher
Mirza Ghalib
Sher
zindagii tuu ne mujhe qabr se kam dii hai zamii.n
paa.nv phailaa.uu.n to diivaar me.n sar lagtaa hai
Bashir Badr
Sher
hazaaro.n kaam mohabbat me.n hai.n maze ke 'daaG'
jo log kuchh nahii.n karte kamaal karte hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
yahaa.n libaas kii qiimat hai aadmii kii nahii.n
mujhe gilaas ba.De de sharaab kam kar de
Bashir Badr
Sher
hazaar barq gire laakh aa.ndhiyaa.n uTThe.n
vo phuul khil ke rahe.nge jo khilne vaale hai.n
Sahir Ludhianvi
Sher
Ibn e Insha
Sher
ham se pahle bhii musaafir ka.ii guzre ho.nge
kam se kam raah ke patthar to haTaate jaate
Rahat Indori
Sher
sharte.n lagaa.ii jaatii nahii.n dostii ke saath
kiije mujhe qubuul mirii har kamii ke saath
Waseem Barelvi
Sher
kuchh to tire mausam hii mujhe raas kam aa.e
aur kuchh mirii miTTii me.n baGaavat bhii bahut thii
Parveen Shakir
Sher
chale to paa.nv ke niiche kuchal ga.ii ko.ii shai
nashe kii jho.nk me.n dekhaa nahii.n ki duniyaa hai
Shahab Jafri
Sher
zindagii yuu.nhii bahut kam hai mohabbat ke liye
ruuTh kar vaqt ga.nvaane kii zaruurat kyaa hai
Unknown
Sher
raat ko jiit to paataa nahii.n lekin ye charaaG
kam se kam raat kaa nuqsaan bahut kartaa hai
Irfan Siddiqi
Sher
kam se kam maut se aisii mujhe ummiid nahii.n
zindagii tuu ne to dhoke pe diyaa hai dhoka