SEARCH RESULTS
Showing search results for "کپڑے"
Sher MATCHES FOR "کپڑے"
Sher
Nasir Kazmi
Sher
nuur-e-badan se phailii a.ndhere me.n chaa.ndnii
kap.De jo us ne shab ko utaare pala.ng par
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
kap.De safed dho ke jo pahne to kyaa hu.aa
dhonaa vahii jo dil kii siyaahii ko dho.iye
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
haif us chaar girah kap.De kii qismat 'Gaalib'
jis kii qismat me.n ho aashiq kaa girebaa.n honaa
Mirza Ghalib
Sher
kafan ai gard-e-lahad dekh na mailaa ho jaa.e
aaj hii ham ne ye kap.De hai.n nahaa ke badle
Fani Badayuni
Sher
Ahmad Mushtaq
Sher
vo rang ra.ng ke chhii.nTe pa.De ki us ke ba.ad
kabhii na phir na.e kap.De pahan ke niklaa mai.n
Anwar Shuoor
Sher
Sabir Zafar
Sher
juutaa nayaa pahan ke vo panjo.n ke bal chale
kap.De badal ke jaame se baahar nikal chale
Imdad Ali Bahr
Sher
kisii ko dil se bhulaane me.n der lagtii hai
ye kap.De kamre ke andar sukhaane pa.Dte hai.n