SEARCH RESULTS
Showing search results for "کھنڈر"
Sher MATCHES FOR "کھنڈر"
Sher
isii kha.nDar me.n kahii.n kuchh diye hai.n TuuTe hu.e
inhii.n se kaam chalaa.o ba.Dii udaas hai raat
Firaq Gorakhpuri
Sher
Ehteram Islam
Sher
dillii hu.ii hai viiraa.n suune kha.nDar pa.De hai.n
viiraan hai.n mohalle sunsaan ghar pa.De hai.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
us imaarat ko giraa do jo nazar aatii hai
mire andar jo kha.nDar hai use ta.amiir karo
Yasmeen Hameed
Sher
ye aur baat ki 'aKHtar' haveliyaa.n na rahii.n
kha.nDar me.n kam to nahii.n apnii aabruu raushan
Sultan Akhtar
Sher
lagtaa hai ki is dil me.n ko.ii qaid hai 'ashfaaq'
rone kii sadaa aatii hai yaado.n ke kha.nDar se
Ahmad Ashfaq
Sher
bahut udaas hai.n diivaare.n uu.nche mahlo.n kii
ye vo kha.nDar hai.n ki jin me.n amiir rahte hai.n
Khan Hasnain Aqib
Sher
isii kha.nDar me.n mire KHvaab kii galii bhii thii
galii me.n pe.D bhii thaa pe.D par samar bhii thaa
Yusuf Hasan
Sher
kuchh is liye bhii vo sailaab bhej detaa hai
ki bastiyo.n me.n raho aur kha.nDar bhii saath rakho
Khadim Razmi
Sher
sa.ng-e-behis se uThii mauj-e-siyah-taab ko.ii
sarsaraataa hu.aa ik saa.np kha.nDar se niklaa
Zeb Ghauri
Sher
KHud ko mai.n bhalaa zer-e-zamii.n kaise dabaataa
jitne bhii kha.nDar nikle vo aabaad se nikle
Mohsin Asrar
Sher
bajaa hai KHvaab-navardii pa KHvaab aaise ho.n
khule jo aa.nkh to apnaa hii ghar kha.nDar na lage