SEARCH RESULTS
Showing search results for "گھرانے"
Sher MATCHES FOR "گھرانے"
Sher
ek suuraj thaa ki taaro.n ke gharaane se uThaa
aa.nkh hairaan hai kyaa shaKHs zamaane se uThaa
Parveen Shakir
Sher
inhe.n to KHaak me.n milnaa hii thaa ki mere the
ye ashk kaun se uu.nche gharaane vaale the
Waseem Barelvi
Sher
tariiq yaad hai pahle se dil lagaane kaa
usii kaa mai.n bhii huu.n majnuu.n thaa jis gharaane kaa
Muztar Khairabadi
Sher
Faisal Ajmi
Sher
nasha pilaa ke giraanaa to sab ko aataa hai
mazaa to tab hai ki girto.n ko thaam le saaqii
Allama Iqbal
Sher
zindagii yuu.nhii bahut kam hai mohabbat ke liye
ruuTh kar vaqt ga.nvaane kii zaruurat kyaa hai
Unknown
Sher
phuul to phuul hai.n aa.nkho.n se ghire rahte hai.n
kaa.nTe be-kaar hifaazat me.n lage rahte hai.n
Waseem Barelvi
Sher
kaa.nTo.n me.n ghire phuul ko chuum aa.egii lekin
titlii ke paro.n ko kabhii chhilte nahii.n dekhaa
Parveen Shakir
Sher
Sada Ambalvi
Sher
idhar falak ko hai zid bijliyaa.n giraane kii
udhar hame.n bhii hai dhun aashiyaa.n banaane kii
Unknown
Sher
ek diivaar uThaa.ii thii ba.Dii ujlat me.n
vahii diivaar giraane me.n bahut der lagii
Yasmeen Hameed
Sher
mushkil-e-ishq me.n laazim hai tahammul 'saaqib'
baat big.Dii hu.ii bantii nahii.n ghabraane se
Saqib Lakhnavi
Sher
ajiib tajraba thaa bhii.D se guzarne kaa
use bahaana milaa mujh se baat karne kaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
bechain bahut phirnaa ghabraa.e hu.e rahnaa
ik aag sii jazbo.n kii dahkaa.e hu.e rahnaa
Muneer Niyazi
Sher
ghiraa hu.aa huu.n janam-din se is ta.aaqub me.n
zamiin aage hai aur aasmaa.n mire piichhe