SEARCH RESULTS
Showing search results for "ہتھیار"
Sher MATCHES FOR "ہتھیار"
Sher
baiThte jab hai.n khilaune vo banaane ke liye
un se ban jaate hai.n hathiyaar ye qissa kyaa hai
Hastimal Hasti
Sher
haarne vaalo.n ne is ruKH se bhii sochaa hogaa
sar kaTaanaa hai to hathiyaar na Daale jaa.e.n
Jamal Ehsani
Sher
Azhar Adeeb
Sher
Ahmad Jahangir
Sher
bharii bahaar me.n ik shaaKH par khilaa hai gulaab
ki jaise tuu ne hathelii pe gaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Sher
ye aur baat ki aa.ndhii hamaare bas me.n nahii.n
magar charaaG jalaanaa to iKHtiyaar me.n hai
Azhar Inayati
Sher
mujhe pasand nahii.n aise kaarobaar me.n huu.n
ye jabr hai ki mai.n KHud apne iKHtiyaar me.n huu.n
Adil Mansuri
Sher
unhii.n ke faiz se baazaar-e-aql raushan hai
jo gaah gaah junuu.n iKHtiyaar karte rahe
Faiz Ahmad Faiz
Sher
KHvaabo.n par iKHtiyaar na yaado.n pe zor hai
kab zindagii guzaarii hai apne hisaab me.n
Fatima Hasan
Sher
ab apnaa iKHtiyaar hai chaahe jahaa.n chale.n
rahbar se apnii raah judaa kar chuke hai.n ham
Faiz Ahmad Faiz
Sher
aish ke yaar to aGyaar bhii ban jaate hai.n
dost vo hai.n jo bure vaqt me.n kaam aate hai.n
Unknown
Sher
kah to saktaa huu.n magar majbuur kar saktaa nahii.n
iKHtiyaar apnii jagah hai bebasii apnii jagah
Anwar Shuoor
Sher
gha.Dii gha.Dii na idhar dekhiye ki dil pe mujhe
hai iKHtiyaar par itnaa bhii iKHtiyaar nahii.n