SEARCH RESULTS
Showing search results for "ہدایتوں"
Sher MATCHES FOR "ہدایتوں"
Sher
hamaare ghar kaa pataa puuchhne se kyaa haasil
udaasiyo.n kii ko.ii shahriyat nahii.n hotii
Waseem Barelvi
Sher
uu.nchii imaarato.n se makaa.n meraa ghir gayaa
kuchh log mere hisse kaa suuraj bhii khaa ga.e
Javed Akhtar
Sher
Naseer Turabi
Sher
du.aa karo ki ye paudaa sadaa haraa hii lage
udaasiyo.n me.n bhii chehra khilaa khilaa hii lage
Bashir Badr
Sher
Farhat Nadeem Humayun
Sher
ye inaayate.n Gazab kii ye balaa kii mehrbaanii
mirii KHairiyat bhii puuchhii kisii aur kii zabaanii
Nazeer Banarasi
Sher
dil kii udaasiyo.n kaa ko.ii sabab nahii.n hai
bas ye sabab hai mere dil kii udaasiyo.n kaa
Neel Ahmed
Sher
Bashir Badr
Sher
tiraa diidaar ho aa.nkhe.n kisii bhii samt dekhe.n
so har chehre me.n ab terii shabaahat chaahiye hai
Farhat Nadeem Humayun
Sher
KHud apne aap se rahtaa hai aadmii naaraaz
udaasiyo.n ke bhii apne mizaaj hote hai.n
Latif Shah Shahid
Sher
dilo.n kaa haal to ye hai ki rabt hai na gurez
mohabbate.n to ga.ii.n thii adaavate.n bhii ga.ii.n
Sahar Ansari
Sher
har ek mausam me.n raushnii sii bikherte hai.n
tumhaare Gam ke charaaG merii udaasiyo.n me.n
Wasi Shah
Sher
udaasiyo.n ko to aa.ngan hii chaahiye.n KHaalii
chhato.n pe chaa.ndnii raato.n kaa silsila rakhnaa
Kishwar Naheed
Sher
adaavato.n ke liye mere paas vaqt kahaa.n
mohabbato.n ke liye hii ye zindagii kam hai
Rahmatullah khan
Sher
ga.e the naqd-e-giraa.n-maaya-e-KHuluus ke saath
KHariid laa.e hai.n sastii adaavate.n kyaa kyaa
Saba Akbarabadi
Sher
havas-parast adiibo.n pe had lage ko.ii
tabaah karte hai.n lafzo.n kii ismate.n kyaa kyaa
Saba Akbarabadi
Sher
adaalato.n hii se insaaf surKH-ruu hai magar
adaalato.n hii me.n insaaf haar jaataa hai
Munawwar Rana
Sher
meraa har KHvaab to bas KHvaab hii jaisaa niklaa
kyaa kisii KHvaab kii ta.abiir bhii ho saktii hai
Farhat Nadeem Humayun
Sher
us shaKHs ne kal haato.n hii haato.n me.n falak par
sau baar cha.Dhaayaa mujhe sau baar utaaraa