SEARCH RESULTS
Showing search results for "یاری"
Sher MATCHES FOR "یاری"
Sher
ek hii naddii ke hai.n ye do kinaare dosto
dostaana zindagii se maut se yaarii rakho
Rahat Indori
Sher
zikr meraa aa.egaa mahfil me.n jab jab dosto
ro pa.De.nge yaad kar ke yaar sab yaarii mirii
Sada Ambalvi
Sher
zamiin-e-dil pe mohabbat kii aab-yaarii ko
bahut hii TuuT ke barsii ghaTaa udaasii kii
Shahida Majeed
Sher
aataa nahii.n aduu se yaarii mujhe nibhaanaa
miltaa nahii.n vo dil se phir haath kyaa milaanaa
Ehya Bhojpuri
Sher
dushmano.n se dostii Gairo.n se yaarii chaahiye
KHaak ke putle bane to KHaaksaarii chaahiye
Dagh Dehlvi
Sher
vo jo ik tolaa ka.ii maasha thii yaarii tum se
rattii bhar bhii na rahaa is me.n kuchh aasaar kahii.n
nayan sukh
Sher
Sabir Zafar
Sher
ye na thii hamaarii qismat ki visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahte yahii intizaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
bas ik jhijak hai yahii haal-e-dil sunaane me.n
ki teraa zikr bhii aa.egaa is fasaane me.n