SEARCH RESULTS
Showing search results for "आशियाना"
Sher MATCHES FOR "आशियाना"
Sher
Allama Iqbal
Sher
Moin Ahsan Jazbi
Sher
Akhtar Muslimi
Sher
itnaa bhii baar-e-KHaatir-e-gulshan na ho ko.ii
TuuTii vo shaaKH jis pe miraa aashiyaana thaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
har ek shaaKH pe viiraaniyaa.n musallat hai.n
badan-daraKHt bhii goyaa hai aashiyaan-e-shab
Arshad Jamal Sarim
Sher
har ek samt yahaa.n vahshato.n kaa maskan hai
junuu.n ke vaaste sahraa o aashiyaana kyaa
Azhar Iqbal
Sher
miTaane vaale hamaaraa hii ghar miTaanaa thaa
chaman me.n ek se ek achchhaa aashiyaanaa thaa
Manzar Lakhnavi
Sher
ho bijliyo.n kaa mujh se jahaa.n par muqaabla
yaa-rab vahii.n chaman me.n mujhe aashiyaana de
Ajiz Matvi
Sher
gul baa.ng thii gulo.n kii hamaaraa taraana thaa
apnaa bhii is chaman me.n kabhii aashiyaana thaa
Hatim Ali Mehr
Sher
baaGbaa.n ne aag dii jab aashiyaane ko mire
jin pe takiya thaa vahii patte havaa dene lage
Saqib Lakhnavi
Sher
idhar falak ko hai zid bijliyaa.n giraane kii
udhar hame.n bhii hai dhun aashiyaa.n banaane kii
Unknown
Sher
Bashir Mehtaab
Sher
Gam-e-jahaa.n ho ruKH-e-yaar ho ki dast-e-aduu
suluuk jis se kiyaa ham ne aashiqaana kiyaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Raaz Allahabadi
Sher
tamaam umr isii ehtiyaat me.n guzrii
ki aashiyaa.n kisii shaaKH-e-chaman pe baar na ho
Meer Anees
Sher
Dartaa huu.n aasmaan se bijlii na gir pa.De
sayyaad kii nigaah suu-e-aashiyaa.n nahii.n