SEARCH RESULTS
Showing search results for "इरादे"
Sher MATCHES FOR "इरादे"
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
mai.n lauTne ke iraade se jaa rahaa huu.n magar
safar safar hai miraa intizaar mat karnaa
Sahil Sahri Nainitali
Sher
'shu.uur' sirf iraade se kuchh nahii.n hotaa
amal hai shart iraade sabhii ke hote hai.n
Anwar Shuoor
Sher
jin ke mazbuut iraade bane pahchaan un kii
manzile.n aap hii ho jaatii hai.n aasaan un kii
Aleena Itrat
Sher
abas ilzaam mat do mushkilaat-e-raah ko 'raahii'
tumhaare hii iraade me.n kamii ma.aluum hotii hai
Divakar Rahi
Sher
kyaa iztiraab-e-shauq ne mujh ko KHajil kiyaa
vo puuchhte hai.n kahiye iraade kahaa.n ke hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
pahaa.D bhaa.np rahaa thaa mire iraade ko
vo is liye bhii ki tesha mujhe uThaanaa thaa
Akhtar Shumar
Sher
be-vaj.h na badle the musavvir ne iraade
mai.n us ke KHayaalaat me.n pahle bhii kahii.n thaa
Tariq Naeem
Sher
taalaab iraade kaa bhare pal me.n labaalab
jab yaar ke dariyaa-e-karam suu.n lahr aave
Alimullah
Sher
iraade phir bhii mustahkam bahut hai.n
mirii raaho.n me.n pech-o-KHam bahut hai.n
Mukhtar Tilhari
Sher
Afzal Khan
Sher
thaa iraada tirii fariyaad kare.n haakim se
vo bhii ai shoKH tiraa chaahne vaalaa niklaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
iraada to nahii.n hai KHud-kushii kaa
magar mai.n zindagii se KHush nahii.n huu.n
Vikas Sharma Raaz
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
mujh ko dushman ke iraado.n pe bhii pyaar aataa hai
tirii ulfat ne mohabbat mirii aadat kar dii