SEARCH RESULTS
Showing search results for "उकताए"
Sher MATCHES FOR "उकताए"
Sher
aadat hii banaa lii hai tum ne to 'muniir' apnii
jis shahr me.n bhii rahnaa uktaa.e hu.e rahnaa
Muneer Niyazi
Sher
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rab
kyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa ho
Allama Iqbal
Sher
tumhe.n to qabr kii miTTii bhii ab pukaartii hai
yahaa.n ke log bhii uktaa.e hai.n chale jaa.o
Sabir Zafar
Sher
ab mujh ko ehtimaam se kiije supurd-e-KHaak
uktaa chukaa huu.n jism kaa malba uThaa ke mai.n
Dilawar Ali Aazar
Sher
Afzal Khan
Sher
Nushur Wahidi
Sher
puraane ghar kii shikasta chhato.n se uktaa kar
na.e makaan kaa naqsha banaataa rahtaa huu.n
Asad Badayuni
Sher
zamaane se ghabraa ke simTe the KHud me.n
magar ab to KHud se bhii uktaa rahe hai.n
Manish Shukla
Sher
ziist kii yaksaaniyat se ta.ng aa jaate hai.n sab
ek din tuu bhii mirii baato.n se uktaa jaa.egaa
Sarfaraz Khalid
Sher
kis samt jaa rahaa hai zamaana kahaa na jaa.e
uktaa ga.e hai.n log fasaana kahaa na jaa.e