SEARCH RESULTS
Showing search results for "उड़ानों"
Sher MATCHES FOR "उड़ानों"
Sher
shohrat kii fazaa.o.n me.n itnaa na u.Do 'saaGar'
parvaaz na kho jaa.e in uu.nchii u.Daano.n me.n
Saghar Azmi
Sher
Khaleel Tanveer
Sher
u.Daano.n ne kiyaa thaa is qadar maayuus un ko
thake-haare parinde jaal me.n KHud pha.ns rahe the
Manish Shukla
Sher
use gumaa.n hai ki merii u.Daan kuchh kam hai
mujhe yaqii.n hai ki ye aasmaan kuchh kam hai
Nafas Ambalvi
Sher
parind shaaKH pe tanhaa udaas baiThaa hai
u.Daan bhuul gayaa muddato.n kii bandish me.n
Khaleel Tanveer
Sher
talaash ek bahaana thaa KHaak u.Daane kaa
pata chalaa ki hame.n justujuu-e-yaar na thii
Zeb Ghauri
Sher
tundii-e-baad-e-muKHaalif se na ghabraa ai uqaab
ye to chaltii hai tujhe uu.nchaa u.Daane ke liye
Syed sadiq husain
Sher
kamii na kii tire vahshii ne KHaak u.Daane me.n
junuu.n kaa naam uchhaltaa rahaa zamaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
uu.nchii u.Daan ke liye par taulte the ham
uu.nchaa.iyo.n pe saa.ns ghuTegii pataa na thaa
Aashufta Changezi
Sher
na.ii fazaa ke parinde hai.n kitne matvaale
ki baal-o-par se bhii pahle u.Daan maa.ngte hai.n
Manzoor Hashmi
Sher
mat baiTh aashiyaa.n me.n paro.n ko sameT kar
kar hausla kushaada fazaa me.n u.Daan kaa
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
kabhii na sochaa thaa mai.n ne u.Daan bharte hu.e
ki ranj hogaa zamii.n par mujhe utarte hu.e
Faragh Rohvi
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
Taufiq-ul-hasan
Sher
harii sunahrii KHaak u.Daane vaalaa mai.n
shafaq shajar tasviir banaane vaalaa mai.n