SEARCH RESULTS
Showing search results for "क़रोल-बाग़"
Sher MATCHES FOR "क़रोल-बाग़"
Sher
duur rah kar na karo baat qariib aa jaa.o
yaad rah jaa.egii ye raat qariib aa jaa.o
Sahir Ludhianvi
Sher
abhii to baat karo ham se dosto.n kii tarah
phir iKHtilaaf ke pahluu nikaalte rahnaa
Qateel Shifai
Sher
lafz o manzar me.n ma.aanii ko TaTolaa na karo
hosh vaale ho to har baat ko samjhaa na karo
Mahmood Ayaz
Sher
jhuuTii ummiid kii u.nglii ko paka.Dnaa chho.Do
dard se baat karo dard se la.Dnaa chho.Do
Salman Akhtar
Sher
'nabiil' aisaa karo tum bhii bhuul jaa.o use
vo shaKHs apnii har ik baat se mukar chukaa hai
Aziz Nabeel
Sher
Ada Jafarey
Sher
baat karo to lafzo.n se bhii KHushbuu aatii hai
lagtaa hai us la.Dkii ko bhii urdu aatii hai
Aalok Shrivastav
Sher
dilo.n kaa zikr hii kyaa hai mile.n mile.n na mile.n
nazar milaa.o nazar se nazar kii baat karo
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
sach hai ki ham se baat bhii karnaa namaaz hai
gar ho sake to is ko qazaa mat kiyaa karo
Zafar Iqbal
Sher
vafaa karo jafaa mile bhalaa karo buraa mile
hai riit desh desh kii chalan chalan kii baat hai
Akhtar Muslimi
Sher
baat karnaa hai karo saamne itraa.o nahii.n
jo nahii.n jaante us baat ko samjhaa.o nahii.n
Majid-ul-Baqri
Sher
hamaarii baat mohabbat sii.n tum jo gosh karo
to apnii prem kahaanii tumhe.n sunaa.uu.ngaa
Siraj Aurangabadi
Sher
rah-e-vafaa me.n unhii.n kii KHushii kii baat karo
vo zindagii hai.n to phir zindagii kii baat karo
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
ab mujh za.iif-o-zaar ko mat kuchh kahaa karo
jaatii nahii.n hai mujh se kisuu kii uThaa.ii baat