SEARCH RESULTS
Showing search results for "क़ुदरत"
Sher MATCHES FOR "क़ुदरत"
Sher
vo aa.e ghar me.n hamaare KHudaa kii qudrat hai
kabhii ham un ko kabhii apne ghar ko dekhte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
KHudaa kii us ke gale me.n ajiib qudrat hai
vo boltaa hai to ik raushnii sii hotii hai
Bashir Badr
Sher
Hafeez Banarasi
Sher
rakh na aa.nsuu se vasl kii ummiid
khaare paanii se daal galtii nahii.n
Shaikh Qudratullah Qudrat
Sher
rakhte hai.n jo allaah kii qudarat pe bharosa
duniyaa me.n kisii kii vo KHushaamad nahii.n karte
Muhammad Ayyub Zauqi
Sher
chaa.nd suuraj kii tarah tum bhii ho qudrat kaa khel
jaise ho vaise raho ban.naa biga.Dnaa chho.Do
Salman Akhtar
Sher
qudrat kii barkate.n hai.n KHazaana basant kaa
kyaa KHuub kyaa ajiib zamaana basant kaa
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
but nazar aa.e.nge maashuuqo.n kii kasrat hogii
aaj but-KHaana me.n allaah kii qudrat hogii
Aagha Akbarabadi
Sher
jii chaahtaa hai saane-e-qudrat pe huu.n nisaar
but ko biThaa ke saamne yaad-e-KHudaa karuu.n
Amanat Lakhnavi
Sher
Shuja Khaavar
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
saare shikve duur ho jaa.e.n jo qudarat sau.np de
merii daanaa.ii tujhe aur terii naadaanii mujhe
Sarfaraz Shahid
Sher
pairahan luuTe maze terii ham-aaGoshii ke
ham kare.n chaak garebaan KHudaa kii qudarat
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Agha Hajju Sharaf
Sher
Taban Abdul Hai
Sher
husn-e-aaraasta qudrat kaa atiyya hai magar
kyaa miraa ishq-e-jigar-soz KHudaa-daad nahii.n