SEARCH RESULTS
Showing search results for "गंज-ए-शाएगाँ"
Sher MATCHES FOR "गंज-ए-शाएगाँ"
Sher
shab-gaziida ko tire is kii KHabar hii kab thii
din jo aa.egaa Gam-e-laa-mutanaahii degaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Gam-e-habiib Gam-e-zindagii Gam-e-dauraa.n
kisii maqaam pe ham jii buraa nahii.n karte
Ahmad Riyaz
Sher
Gam-e-ma.aal Gam-e-zindagii Gam-e-dauraa.n
hamaare ishq kaa charchaa kahaa.n kahaa.n na rahaa
Matin Niazi
Sher
Ahmad Faraz
Sher
sirf zinda rahne ko zindagii nahii.n kahte
kuchh Gam-e-mohabbat ho kuchh Gam-e-jahaa.n yaaro
Himayat Ali Shayar
Sher
Gam-e-uqbaa Gam-e-dauraa.n Gam-e-hastii kii qasam
aur bhii Gam hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
Aziz Warsi
Sher
fikr-e-fardaa Gam-e-imroz Gam-e-maut-o-hayaat
aadmii kyaa hu.aa majmuu.a-e-aalaam hu.aa
Mehr Nizami Merathi
Sher
kanval Dibaivi
Sher
Gam-e-suud-o-ziyaa.n se be-niyaazaana nikaltaa hai
ba.Dii farzaangii se teraa diivaana nikaltaa hai
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Sher
ek naGma ik taaraa ek Guncha ek jaam
ai Gam-e-dauraa.n Gam-e-dauraa.n tujhe meraa salaam
Saghar Siddiqui
Sher
Gam-e-jahaan o Gam-e-yaar do kinaare hai.n
udhar jo Duube vo aksar idhar nikal aa.e
Arshad Abdul Hamid
Sher
Gam-e-jaanaa.n Gam-e-dauraa.n kii taraf yuu.n aayaa
jaanib shahar chale duKHtar-e-dahqaa.n jaise