SEARCH RESULTS
Showing search results for "गुलाब"
Sher MATCHES FOR "गुलाब"
Sher
mai.n chaahtaa thaa ki us ko gulaab pesh karuu.n
vo KHud gulaab thaa us ko gulaab kyaa detaa
Afzal Allahabadi
Sher
burii sarisht na badlii jagah badalne se
chaman me.n aa ke bhii kaa.nTaa gulaab ho na sakaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
bharii bahaar me.n ik shaaKH par khilaa hai gulaab
ki jaise tuu ne hathelii pe gaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Sher
azaab hotii hai.n aksar shabaab kii gha.Diyaa.n
gulaab apnii hii KHushbuu se Darne lagte hai.n
Badr Wasti
Sher
suno ki ab ham gulaab de.nge gulaab le.nge
mohabbato.n me.n ko.ii KHasaara nahii.n chalegaa
Jawayd Anwar
Sher
Bashir Badr
Sher
aaKHir ko ruuh to.D hii degii hisaar-e-jism
kab tak asiir KHushbuu rahegii gulaab me.n
Aanis Moin
Sher
Nida Fazli
Sher
phuulo.n kii sej par zaraa aaraam kyaa kiyaa
us gul-badan pe naqsh uTh aa.e gulaab ke
Adil Mansuri
Sher
use kisii se mohabbat na thii magar us ne
gulaab to.D ke duniyaa ko shak me.n Daal diyaa
Dilawar Ali Aazar
Sher
Mazhar Imam
Sher
vo KHaar KHaar hai shaaKH-e-gulaab kii maanind
mai.n zaKHm zaKHm huu.n phir bhii gale lagaa.uu.n use
Ahmad Faraz
Sher
tire badan kii mahak ko gulaab se tashbiih
ki jaise ko.ii dikhaa.e charaaG suuraj ko
Maroof Raebarelvi
Sher
kisii ke lams kii taasiir hai ki barso.n ba.ad
mirii kitaabo.n me.n ab bhii gulaab jaagte hai.n
Akhlaque Bandvi
Sher
'anvar' mirii nazar ko ye kis kii nazar lagii
gobhii kaa phuul mujh ko lage hai gulaab kaa
Anwar Masood
Sher
ab itr bhii malo to takalluf kii buu kahaa.n
vo din havaa hu.e jo pasiina gulaab thaa