SEARCH RESULTS
Showing search results for "गुलाब-रुत"
Sher MATCHES FOR "गुलाब-रुत"
Sher
gulaab-rut kii tarah 'arsa-e-jamaal me.n aa
havaa-e-Gam se nikal mausam-e-visaal me.n aa
Anjum Farooq
Sher
Mohammad Mubashshir Mayo
Sher
vo qahr thaa ki raat kaa patthar pighal pa.Daa
kyaa aatishii.n gulaab khilaa aasmaan par
Zafar Iqbal
Sher
kitnii fariyaade.n labo.n par ruk ga.ii.n
kitne ashk aaho.n me.n Dhal kar rah ga.e
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
raat din tuu hai mirii aaGosh me.n
mai.n tiraa saahil miraa dariyaa hai tuu
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
apnii Garaz ko aa.e the vo raat 'mus.hafii'
le kar mirii baGal se miraa dil ravaa.n hu.e
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
tire kuuche har bahaane mujhe din se raat karnaa
kabhii is se baat karnaa kabhii us se baat karnaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
terii qasam hai apnaa to ruk jaa.e jii vahii.n
yak dam jo darmiyaa.n me.n tirii guftuguu na ho
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
soch din raat yahii hai tire diivaane kii
jaa.iye shahr ko par chho.Diye sahraa kyuu.nkar
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
maatam me.n faut-e-umr ke rotaa huu.n raat din
duniyaa me.n mujh saa kam hai ko.ii sogvaar shaKHs
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
aadhii raat aa.e tire paas ye kis kaa hai jigar
chau.nk mat itnaa ki ai hosh-rubaa ham hii hai.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
aur rabt jise kufr se hai ya.anii barahman
kahtaa hai ki hargiz miraa zunnaar na TuuTe
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
apnii tasviir ke ik ruKH ko nihaa.n rakhtaa hai
ye charaaG apnaa dhu.aa.n jaane kahaa.n rakhtaa hai
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
ab shiisha-e-saa.at kii tarah KHushkii ke baa.is
girya kii jagah ret nikaltii hai guluu se
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
mai.n ne kyaa aur nigah se tire ruKH ko dekhaa
aa.iina biich me.n kis vaaste diivaar hai aaj